Roshani ko baa adab

 

Roshani ko baa adab uske naam kar diya
Andhere ko taqdeer ka ghulaam kar diya
Khasham aalud tardad khez hi kiyaa
Jo tha tar tabiyat me sabko tamaam kar diya
Nafs ke labo par naam tha ekhtetam ke waqt
Per bhi jazab nazar se kafan ka nijaam kar diya
Yadein to qaid hai ab bhi ek ghoshah liye hue
Ek din tufail aah se yaadon me shaam kar diya
Koi bhi sajda nahi, kiya ittefaqui ke baad
Danista mere naam ko apna imaam kar diya