Parwaaz kar gayi

 

Parwaaz kar gayi raatein per baat kyun nahi jaati
Kat gayi har raat per ye raat kyun nahi jaati
Saaye ki tarah lipta hai is hayate safar me
Per waqt to zayad nahi aukaat kyun nahi jaati
Kar gaye chiraghon ko bhi fiza ki hawale
Bujhane ke waste koi aukaat kyun nahi aati
Bah gaye har khawan ankho se ashk ke sath
Is khawab ko dhone koi shailaab kyun nahi aati
Mousam hain ghani wadiyo sa ye suhana shaam
Is alam bhari shahar me barshat kyun nahi aati
Udi hai khaak basti me shahar me kyun hai sannata
Shahar se chalkar aati thi per ab wo kyun nahi aati
Use jab bhi dekhta hun dil ke darinchon se
Ankh lagti to hai magar chain ki neend kyun nahi aati