Beete hue main kuch haseen pal likh gaya Dhire dhire main ek nayi ghazal likh gaya
Ek Koh E Gham Liye Betha Hoon
Ek koh e gham liye betha hoon Log kahte hain piye betha hoon Koo e Jana me hui he jab se shikast Tab se hothon ko siye betha hoon
Kal Raat Chandani Thi
Kal raat chandani thi, mousam mein nami thi halki si woh barsaat or barf jami thi Per raas na aya, aster woh nazara Mai tha, meri tanhaayi, bas teri kami thi
Zameen talak koi alamat na rehe baaqi
Naaz nafrat sa tabiyat sabkuchh mita deta hai Azeez kalb subah manzil ka pata deta hai Zameen talak koi alamat na rehe baaqi Mera saaya mere qadmon ko mita deta hai
Zamane Ke Hasino Per
Zamane ke hasino per aitbar na kar Pyar kar magar jashan izhar na kar
Zamana wahi hai
Zamana wahi hai aaj log badal gaye Waqt ke aasra me halaat badal gaye hum sirat ki tauseef karte the kabhi Ab Surat ke waste zaat badal gaye
Zamana de gaya
Zamana de gaya mujhe bewafa ka khitab Shayad pata nahi ke woh bhi sharik the
Ye hai deewano
Ye hai deewano ka shahar jara dekh dekh kar Main bhi is shahar ka jara dekh dekh kar Deewane kai ghumte hai is shahar me aaj bhi Magar rakhna apna kadam jara dekh dekh kar
Waadein kiye the
Waadein kiye the pyar ke wo jan bujhkar Bite the kai saal wo bhi jaan bujhkar Maine kiya tha haq ada aabru ke saath Usne kiya bimaar mujhe jaan bujhkar
Taqraar mohabbat me
Taqraar mohabbat me nazakat ka bhi pata nahi Woh bhi chale the sath me uska koi khata nahi Lekar chale mashal wo jalane mere shahar ko Main bhi hun is shahar ka shayad use pata nahi