Yu to har lamho ko sanwara tha is kadar, Kamyab zindagi ko magmoom kar gaya koi. Usne ijhare mohabbat kiya hi kyu tha, Is alam me mujhe posidah kar gaya koi. Tumne to use chand se umdah samjha hamesha, Is chand si roshni ko bhi gamgin kar gaya koi. Tumne badi zafukash se bhula… Continue reading Daga-e Mohabbat
Tag: Azhar Sabri
Chala us shahar se
Chala us shahar se is shahar ka mehmaan bankar rah gaya Haqiqat ye hai kamzarf sa insaan bankar rah gaya Har waqt ko trasha sab bhar teri yadon me Per khawab ke pyalo me aasir bankar rah gaya Is jaddo jahad me sarhad ko par kar gaya Phir bhi meri mohabbat kashmir ban kar… Continue reading Chala us shahar se
Chahat
Suhani shaam hai tanha or tumhara naam hai, Is mausame bahar me tumhari ek jhalak chahta hun. Koi mujhse puchhe mai kya chahta hun, Main tumhe tumhari zindagi or khushi chahta hun. Main tumhe bhula dun to jaan nikal jaegi, Kyunki tum basti ho mere sanso me isliye zindagi chahta hun. Tum chale bhi… Continue reading Chahat
Bewafa E Mohabbat
Bewafa naam hai mohabbat me chod jane ka, kyu intezar ab bhi itna hai uske aane ka. wo gayi to meri duniya khilawat sa ho gaya or khilawat kar diya is duniya me mere ashiyane ka
Azeez tha to kyun
Azeez tha to kyun aghlaat se mila mitti Mere shehar me khushboo se tara mitti Yahan alf bhi nahi ajab sa matam hai Mere watan me ghar ko chala raha mitti
Azal Se Mauzood Hoon
Azal se mauzood hoon uftad se behtar hai Mana ki dooriyan bani altaf se behtar hai Door rahkar bhi dil se juda nahi Azhar Fasla azeeb hai nashaad se to behtar hai
Azal se aashna
Azal se aashna ka aaghaz kiya usne Zehan me ek khawab aabad kiya usne Maine to taamir talaf bhi na kiya Ek din taamir sukhan shaad kiya usne
Anshu
Aaghaz mohabbat ka ek daur aisa tha Farsh pe thamte nahi the kadam uske Mila sila muhabbat me judai ka to Anjam ki surat dekh tham gaye faham uska
Aksar waqt ki Aasara me
Aksar waqt ki Aasara me halaat badal jate hain Insaan ke jazbaat me alfaaz badal jate hain Pade na Kadam zameen pe bulandi pe ja pahuncha Wahi toot kar ek din sare bazaar bikhar jate hain
Akelapan
Fakhar karta hai khud pe fighar karke akelapan Bahein filaye baitha hai firaq me akelapan Har simt gulshan me bhi hamesha akela hi raha Saaye ki tarah lipta hai har waqt akelapan Main chal raha tha bheed me tanhai ko soch soch kar Awaaz de raha tha har shay me akelapan Furkat ko dekh… Continue reading Akelapan