Dil nahi milta

 

Dil nahi milta saro-baazar mil gaya
Is kaum ki kafash me kya karar mil gaya
Chaha tha ek lamha khushi ka baa-adab
Bad-kismati se dard ka sansar mil gaya
Fulon ko dekhta tha uljhe hue kanto se
Or bagho ko berukhi ka deewar mil gaya
Thaa fasla deewaro ka kuchh hamare darmiyan
Isme bhi ibtida ka ek daraar mil gaya
Gurbat me kaat di hai har lamha zindagi ka
Aakhir me jo mila hai sab bekaar mil gaya