Zamana wahi hai

  Zamana wahi hai aaj log badal gaye Waqt ke aasra me halaat badal gaye hum sirat ki tauseef karte the kabhi Ab Surat ke waste zaat badal gaye

Ye hai deewano

  Ye hai deewano ka shahar jara dekh dekh kar Main bhi is shahar ka jara dekh dekh kar Deewane kai ghumte hai is shahar me aaj bhi Magar rakhna apna kadam jara dekh dekh kar

Waadein kiye the

  Waadein kiye the pyar ke wo jan bujhkar Bite the kai saal wo bhi jaan bujhkar Maine kiya tha haq ada aabru ke saath Usne kiya bimaar mujhe jaan bujhkar

Taqraar mohabbat me

  Taqraar mohabbat me nazakat ka bhi pata nahi Woh bhi chale the sath me uska koi khata nahi Lekar chale mashal wo jalane mere shahar ko Main bhi hun is shahar ka shayad use pata nahi

Parwaaz kar gayi

  Parwaaz kar gayi raatein per baat kyun nahi jaati Kat gayi har raat per ye raat kyun nahi jaati Saaye ki tarah lipta hai is hayate safar me Per waqt to zayad nahi aukaat kyun nahi jaati Kar gaye chiraghon ko bhi fiza ki hawale Bujhane ke waste koi aukaat kyun nahi aati Bah… Continue reading Parwaaz kar gayi